Taqreeb ki Chief Guest PNC ki registrar madam Fozia Mustaq theen.
Is taqrib me 3 nurses ko life achivement award, 2 ko best head nurse award, 12 ko best staff nurse award, or 2 ko best male nurse award se nawaza gaya.
Is k alawa 190 nurses me meri certificate b daye gay hen.
Taqrib se khitab karte hue chief nurse of Balochistan Faheem Abbas ne kaha k WHO ki decleration Health for All by the year 2030 k vision k mutabiq Pakistan me 2030 tak 10 lakh nurses ki zarorat he jab k is waqat mulk me 1 lakh se b kum nurses hain yani agle 12 salon me 9 lakh nurses ko trained karne ki zarort he jo k public sector k laya mumkin nai is laya private sector ko age ana chaye tak k mulk me nurses ki kami per qabo paya ja sakeFaheem Abbas ne mazid kaha k CPEC k hawale se Gawadar se Kashgar tak 24 naye hospitals or trauma center qaiam kaye ja rahe hain jin kam karne k laya 2022 tak hazaron nurses ki zarorat ho gi.
Unho ne mazid bataya k saudi arab samait kai Arab countaries ne pakistani diploma nurser ko nikal kar india ki BSN nurses ko rakh laya he jo hame hazam nai ho raha he
Lehaza hame zayada se zayada BSN nures ki zarorat he.
Madam Fozia Mustaq Registrar PNC ne kaha k international demand or standard k mutabiq ab hame diploma course khatam kar k degree course ka agaz karna he yahi PNC OR HEC ka faisla he.
Unho ne mazid kaha k PNC ne hakomat e waqat se request ki he k mulk me nurses or midwief ki kami per qabo pane k laya 2019 ko "NURSE & MIDWIFE YEAR" k tor per manaya jaye.
Unho ne mazid kaha k pakistan nursing council ka nam bad kar pakitan nursing & midwifery counil rakha ja raha he jis k laya pnc Act 1973 ko b revise kia ja raha he
Unho ne kaha k mulk bhar me nurses ki kami per qabo pane k laya new nursing institutions qaiam keaye ja rahe hain.
Comments
Post a Comment
Give your Comments here... اپنی رائے کا اظہار یہاں کریں۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔