General Nursing Diploma Ke 1st, 2nd, 3rd, 4th Year(MW) Ke Ilawah 12-Specialities Ke 10000 (Das Hazzar) Candidates Ka Exam Conduct Karwana Hota Hy.
Har Sall Taqreebun Ek Lakh 1,00,000 Copies Ko Collect Karky Unko Assess Karwaya Jata Hy Jismen 100 Ke Qareeb Teachers Apna Role Play Karty Haen.
Har Teacher Daily +,- 50 Copies Assess Karpati/Karpata Hy. Itny Teachers Ki Secreacy aor Efficiency Ko Bhi Manage Karna Parta Hy.
Isky Ilawah Viva-Results Alug Bunty Haen Jinki bhi Entries Karni Parti Hy.
Is Tarah Exams Ke Conduct Hony se Results Tuk Aprox 2,50,000 Do Lakh Puchas Hazar Entries Karni Parti Haen.
Jub Isky Baad Board Aproval Deta Hy Tu Results Announce Kardya Jata Hy۔
Phir Ek Naya Issue Paeda Karaya Jata Hy:-
Mazi Ki Broker Pass/Fail Mafia Network Failure Student Se Paesy Khany Ke Lye & Board Ko Uljhaky Rakhny Ke Lye Rumours Phaelaty Hn Ke...
Recounting Ke Forms Bhardo . Qyounky Controller Transfer Hony Wali Hy......Usky Baad Subko Pass Karva Dya Ja'ega.
Phir 3000 Ke Qareeb Recounting Cases Aajaty HaeN.
Ab Nae se Phir EK Lakh Copies mn se Ek Ek Paper Talash Kya Jata Hy. Kai Days Ke Ba'ad Phir Hazaron Copies Nikali Jati Haen.
Recounting Ke Lye Senior Teachers Ki Team Buna'i Jati Hy Jo Nihayut Bareek Beeni se In papers Ke Number Count Karti Hy. Phir Inko Committee Ke Samny Pesh Karky Board Ki Meeting Call Ki Jati Hy Jisko SNEB Ke Chairman Secretary(H) Chair Karky Aproval Dety Haen.
Aor YouN Board Ko Maheenon Tuk Uljhaky Rakha Jata Hy. Doosri Tarf Newspapers aor Social Media & even Sindh-Assembly mn bhi SNEB Ke Lye Sawalt Uthwa'e Jaty Haen. Tu Iss Waja se Board Her Waqt Battle Field Ki Tarah Jungi Mahol mn Raha Hy.
Ooper se Mafia Schools Extra Induction Karty Rahty Haen. Jinko Roko tu Har Hufty Court mn Case Bhugatny Party Haen. Protest Plant Kye Jaty Haen. Threat Dye Jaty Haen. Besharmi & Be Ghaerti Ki Haden Phulang Ke Ghutya Tareen Kirdar-Kushi Ki Jati Hy. Innocent Students Ky Zihnon Ko Controller & Team KeKhilaf Zahir Aalood Nafrut se Brain Wash Kya Jata Hy. Aor Illegally Induct Kye Gae Boys Ko Marny-Maarny Tuk Laya Jata Hy. High Court se Bahir Ghaera'o Karwaya Jata Hy.....wagera wagerah...
Is Tarh SNEB aor Teachers Din Raat Ki Mihnut Ke Ba'ad bhi Schedule se Peechy Rah Jaty Haen. Lekin Isky Background facts Ko Kum Hi Log Jaanty Haen.
SNEB Ke Vice Chairman Ke Context mn Ye Sub Observe Kar Chukka Hon.
Is Baat Ko Record Per Rakhny Ke Lye Ye Tahreer Kya Taky Haqa'iq & Muhimbazi mn Farq Kya Ja Saky.
Isky Ilawah LHVs, FWWs, CMWs & Supplementry Examinations Ko Bhi Deal Karna Parta Hy.
\
DNSshabirhussainjhatial
Comments
Post a Comment
Give your Comments here... اپنی رائے کا اظہار یہاں کریں۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔